Rang syahi ka kam, Dard ka jyada dikhta hai..

Rang syahi ka kam , Dard ka jyada dikhta hai !
Rang syahi ka kam ; Dard ka jyada dikhta hai.  ! 
En fadfadate panno se , Ik tasveer ubhar kar aati hai !

En kale kale akshar me , Ik raj chupa sa hota hai !
Jane kab wo ubharenge , Man soch soch ghabrata hai !


Halki halki pankhudiyon se , jane kya khidmat karti ho !
Jab bhi ye dastak dete hai, kolahal sa mach jata hai !

Kuch to bat hai, ess syahi me,,,
Rang syahi ka kam , Dard ka jyada dikhta hai !!!







Comments

Post a Comment

Popular Posts